Monday 30 July 2012

bari mukhtasar khoshi thi short poetry

bari mukhtasar khoshi thi bara sabar aazma main....

to namaz e asar goya main qiyam e hashar shayad/////////

Sunday 29 July 2012

asmaan ke badalte hoe tewar bata.....short poetry

asmaan ke badalte hoe tewar bata rehen hain!
is ki haseen subha is se juda hoi he!

kaash is ishq ko bhi mohabat ho short poetry

kaash k is ishq ko bhi kabhi mohabat ho!!!
phir pata chale us ko wasal ke khwab kase hain!

use itna na socha kar..short poetry


use itna na socha kar teri aadat na ban jae
phir aesi aadtain mohsin badalna bhi nahi mumkin









islamic poetry

sair dunya mein tum apna waqat taqseem karte ho
sirf mere lae tum ko koi lamha nahi milta.......


silent message frome quran e pak

short poetry



qiyamat kheez aankhain hain tumhari ....
tum aakhir khwab kis k dekhte ho......

kabhi aanso kabhi sajde




kabhi aanso kabhi sajde
        kabhi hathon ka uth jana
muhabbat mein nakami par
       khuda kion yaad aata he ???
__________________________


muhabbat mein nakami par
       khuda hi yaad aata he !



Saturday 28 July 2012

mera zikar or meri fikar to

mera zikar or meri fikar to 
         meri yaad or meri justjoo
meri khamshi bhi tery lae 
           or tery lae meri guftgoo

koi taweez ho radd e bala ka short poetry

koi taweez ho radd e bala ka .....
muhabbat mere peche parr gai he ......

kitni be rukhi thi short poetry

kitni be rukhi thi un ki haseen aankhon mein 
ab main apni aatish e ishq ko kiya moon dikhon ga ?

short poetry





jo ho ijazat to tum se ikk baat pochon....... 
jo ham se ishq sekha tha......
             wo ab tum kis se karte ho

is eid pe loot k aa jana

is eid pe loot k aa jana

kuch yaaden taza karni hain,

kuch lamhe mor k lane hain,

kuch tare torr k lane hain,

Yeh Eid Teray Shehar Mein Bhi Aayi Hogi...eid poetry

Yeh Eid  Teray Shehar Mein Bhi Aayi Hogi
Barray Naaz Say Tu Nay Bhi Manayi Hogi

Haseen Haath Pay Mehandi Bhi Lagayi Hogi
Narm si Kalayi Chorriyon Say Sajayi Hogi

Sitaray Bhi Taankay Hoon Gay Maang Mein Apni
Marmareen Paaon Mein Pazaib Bhi Pehni Hogi

Sunday 1 July 2012

uski kathai aankhon mein hain jantar mantar sab ...poetry

uski kathai aankhon mein hain jantar mantar sab
chaqo waqo churiyan wuriyan khanjar wanjar sab

jab se tum ho rothi mujh se rothe rothe hain
chadar wadar takiya wakya bistar wistar sab

mujh se bichar kar wo bhi kahan ab pehle jesi he
pheke parr gae kapre wapre zewar wevar sab