Sunday 26 August 2012

pic poetry


raat pichle pehar uthata he ...
dard e dil tahajjud guzar ho jase.....

Sunday 19 August 2012

chand


nikle the chand dhondne pehlo mein le k chand 
sharma ky chand badlon ki oot le giaya...

Thursday 16 August 2012

Teri Aankhein Tera Chehra jo mere robaroo nahee rehtay!!



Teri Aankhein Tera Chehra jo mere robaroo nahee rehtay!! 



Suno janaan tum meri aankhon ko 
apnay lams sai zinda kar do
ik baar phir in k aaninon mein 
apna chehra kar do

k ik mudat hui ye saktay mein hein ,
in ka dukh nahee rota 
in mein kisi khuwab ka hadisa ab nahee hota
k ye khuwab meri aankhon sai 
..................................ab surkhuroo nahee rehtay

Teri Aankhein Tera Chehra  jo mere roobaroo nahee rehtay..!!



zabt ki shaakh sai toot girtay hein jab ye aansoo
dundhla kar dikhatay hein har nazaray ko
tere aansoo chootay hein 
jab meri aankh k kinaray ko
lahoo ban jatay hein ye ansoo
.................... ansoo nahee rehtay
Teri Aankhein Tera Chehra jo mere roobaroo nahee rehtay..!!

duaon k hathon mein 
kabooliat ki zanjeer nahee parhti
aansoo bikhar jatay hein 
par jazbon mein taseer nahee utarti
sisaktay hein mere labon pai aa k harf e duua
bai maani ho jatay hein ye alfaaz
........................ mehv e justajoo nahee rehtay
Teri Aankhein Tera Chehra jo mere roobaroo nahee rehtay..!!

Wednesday 15 August 2012

Suna Hy Chand Nikla Hy eid bhi ho gi

EID



Suna Hy Chand Nikla Hy

Suna Hy Eid bhi Ho Gi..

Hamen to Aasman pe door tak..

Kuch bhe Nhe dikhta..

Kahan wo chand Nikla hy.?

K jis k Wasty ik Umr se Hum ne..

Kbi PalkEn Nhe Jhapkeen..

Sunday 12 August 2012

is eid par ham bhi khain milte hian....


EID

pholon ko jis tarah 
bhanware milte hain 
aao k is eid par 
ham bhi kahin milte hian

apni is chaht ko
piyar bhari rifaqat ko
sachi lagan k 
rang dete hain
dunya k liye apni mohabbat
ko misal karte hian 

tum aao to ham bhi eid karing....


EID

Hasrat hai tumhari deed karein
Tum aao to hum bhi Eid karein!!!
Kuch dair to dil ko chain mille
Kuch roz to mann ka phool khile
Kehte hain Eid ki aamad hai
Ab log bhi kuch taeed karein
Tum aao to hum bhi Eid karein!!!
Tum se yeh aik guzarish hai
Yeh apne dil ki khwahish hai
Aik baar milo,aik baar milo
Har baar yahi takeed karein

main eid nahi manaon ga


Har baar ki tarah is bar bhi ansu bahaon ga,
Suno logo, mein eid nahin manaoon ga,

Sahu’on ga gham akele chupke chupke,
Zakham apne na kisi ko dikhaon ga,
Suno logo, mein eid nahin manaon ga.

lage gi mehndi hathon per, urti phiren gi titliyaan
Mein ponch ke ankhen, chup chap se so jaaon ga
Suno logo, mein eid nahin manaon ga.

Jis haal mein hoon mein, bohat khush-haal hoon mein
Zamaney bhar se acha hon, aag kahin na lagaon ga
Suno logo, mein eid nahi manaaon ga.




use kehna k loot aao suna he eid aai he




use kehna k loot aao suna he eid aai he ..
ik bar to aa kar mil jao suna he eid aai he ...

use kehna k bin tery bohat eidain guzari hain...
is bar to milne aa jao suna he eid aai he..

use kehna judai se muhabbat kam nahi hoti
ye dunya ko batla jao suan he eid aai he ..

use kehna k chaht ka bharm na totne dena...
tum pal do pal hi aa jao suna he eid aai he ..

use kehna k bin tery bohat tanha he koi ...
ye tanhai mita jao suan he eid aai he....



Saturday 11 August 2012

ye ishq mar kion nahi jata ....nahshal




ye ishq mar kion nahi jata
har dil se nikal kion nahi jata

kitne hi aashiqon ka qatil he
ishq soli pe charh kion nahi jata

ishq gar muslam he to phir
ye rabb se darr kion nahi jata

ishq gar lawaris nahi he to aakhir
 ye apne ghar kion nahi jata


pic poetry....tum ko kiya khabar jana


tum ko kiya khabar janan...
ham udas logon par ...
sham k sabhi manzar....
ungliyan uthate hian.......

pic poetry



Wednesday 8 August 2012

pic poetry


gali mein phirta he raat bhar koi.....
gale mein neend k taweez dale howe.....

>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>

Monday 6 August 2012

Mere israr par aakhir.... nazam





Mere israr par aakhir.
Bht majbur ho kar aj.
Mujhe apni nigahon ki udasi.
Sonp di us ne.
Bht bebas bht tanha.
Bht bikhri mohabbat ki us ne.
Khalish jo us k dil min thi.
Ab wo meri amanat he.

kisi din chahte hain ...nazam

























Ik din shararatan us k kamre ...nazam




Ik din shararatan us k kamre min ja kar.


Diwar pe likhe kuch haruf parhna chahe.


Ja baja hath se bani taswiron ko samjhna chaha.


Kahin sukhe gulab ki patiyan thin.


Kahin takiya ansuon se nam tha.

Sunday 5 August 2012

ghazab kiya teri yad ne short poetry

ghazab kiya teri yad ne
 mujhe aa satay namaz mein

mere wo bhi sajde qaza howe 
jo ada howe the namaz mein

short poetry

sochta hon k bana daloon ........
aek firqa udaas logon ka............

Saturday 4 August 2012

short poetry

Jatay Jatay Wo Kis Liye Palta?
Ab Sataye Ga Ye Sawal mujhe....

short poetry

Tum Jo Kehtay Ho K,
Kiun Hotay Ho Uss Bin Be-Chain...?????..


Aey Maseeha,Tang Na Kar,
 Bus Keh Jo Diya, Hotay Hain...!

short poetry

Socha tha mil gayi tere gham se hamain nijaat...
Ye sochte hi phir se teri yaad Aa gayi..

short poatry

LoG Dekhen Ge tO aFsana bAna DaLen Ge.....
YOn merE diL mein ChaLe aO k Ahat B nA hO.......

short poetry

tUm B0hat DiL NaShen tHe pAr JaB Se .....
hOve ho kiSi AUr K, Zehaar LaGte hO....

short poetry

Bin Mangay Jo Diya Us Ne Pyar Se Bosa.........!
Haatim Taai Se Kehna, Sakhawat Is Ko Kehtay Hain....

short poetry

Din k DhaLte hi ujarr jaati hain AankHen aese ....Jis traH Shaam kO baZar kiSi Gaa'On kA.....

short poetry

Du'aa kro Qissa tamaam ho jaa'ey.......
 "ISHQ SAAHIB" Bemaar hain Kafi...!!!

short poetry

Me tere ishq se pehle youn tha,,,
Jaise koi Ummat kitab se pehle.......

Us ka rukh-e-mahtab us k hath choom lon...love shairy

Us ka rukh-e-mahtab us k hath choom lon,
Jo bas chaly tu us ki her bat choom lon 


 Chhu jay us ki zulf ko barish ki boond,
 Wo bond kya barish kya 
 mosam-e-barsat choom lon, 


 Aa jay jo kabi khwab uska bhol kar agar, 
 Wo khwab kya nend kya
wo raat chom lon,