Saturday, 10 October 2020

 


Saturday, 3 November 2018

Maine poocha kaise ho badley ho ya waise ho

Maine poocha kaise ho
Badley ho ya waise ho

Roop wohi, andaaz wohi
Ya phir is mein koi kami

Hijr ka kuch ihsaas to hoga
Koi tumharey paas to hoga

Ham bichre ye majboori thi
Kab manzoor hmain doori thi

saath hamaara kab chhuta hai
Rooh ka rishta kab toota hai


Aankh se jo aansu behtey hain
Tum ko khabar hai kya kehtey hain

Maine kaha aawaz tumhaari
Aaj bhi hai humraaz hamaari

Phool wafa ke khil jaayenge
Ek din ham phir mil jaayenge

Thursday, 1 November 2018

Aao 1 sajda karain aalam e madhoshi me

Kab hui pyar ki barsat hume yad nhi,
Khof may doobi mulaqat hume yad nhi.

Hum to madhosh thy kuch itna us ki Chahat may,
Us ne kb Choor dia sath hume yad Nhi.

Zindagi jabr e musalsal ki trah kati hai,
Janay kis jurm ki pae hai saza yad nahi.

Me ne palko se dar e yar par dastak di hai,
Me wo sayal hon jisay koi sada yad nahi.

Aao 1 sajda karain aalam e madhoshi me,
Log kehtay hain k SAGHAR ko khuda yad nahi.

Friday, 28 March 2014

charaaG-o-aaftaab Gum

charaaG-o-aaftaab Gum, ba.Dii hasiin raat thii
shabaab kii naqaab Gum, ba.Dii hasiin raat thii

mujhe pilaa rahe the vo ki Khud hii shammaa bujh gayii
gilaas Gum sharaab Gum, ba.Dii hasiin raat thii

likhaa huaa thaa jis kitaab me.n, ki ishq to haraam hai
huii vahii kitaab Gum, ba.Dii hasiin raat thii

labo.n se lab jo mil gaye, labo.n se lab jo sil gaye
savaal Gum javaab Gum, ba.Dii hasiin raat thii

Saturday, 1 February 2014

Joo toot giya soo toot giya






کیا آس لگائے بیٹھے ہو ؟

جو ٹوٹ گیا، سو ٹوٹ گیا

کب اشکوں سے جڑ سکتا ہے

جو ٹوٹ گیا ، سو چھوٹ گیا

تم ناحق ٹکڑے چن چن کر

دامن میں چھپائے بیٹھے ہو

شیشوں کامسیحا کوئی نہیں

کیا آس لگائے بیٹھے ہو ؟




Monday, 16 September 2013