Thursday, 7 February 2013

Wo Jazbon Ki Tijarat Thi



Wo Jazbon Ki Tijarat Thi,Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha
Ussey Hansney Ki Aadat Thi,Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha

Mujhey Uss Ney Kaha Aao Nai Dunya Basatey Hain
Ussey Suji Shararat Thi,Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha

Humesha Usski Aankhon Main Dhanaq K Rung Hotey Thay
Yeh Usski Aam Aadat Thi,Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha

Wo Mairey Pass Bethi,Dair Tak Ghazlein Meri Sunti
Usssey Khud Sey Mohabbat,Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha

Mairey Kandhay Par Sir Rakh Kar Kahein Par Kho Gai Thi Wo
Yeh Ek Waqti Enayat Thi,Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha

Mujhey Wo Dekh Kar Aksar Nighahein Phair Leyti Thi
Yeh Dar Parda Haqarat Thi,Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha



Itna b apni Zaat Se Koi Juda Na Ho




Itna b apni Zaat Se Koi Juda Na Ho
Nikley kisi ki Talash Main Apna Pata Na Ho,

Dekho K Phir Hawaon K Tewar Badal Gaye,
Sahil Ki Rait Par Koi Kuch Likh Raha Na Ho,

Tanhaiyan Kuch Is Tarah Basti Hain Merey Sath,
Aakash B Jaisey Shajar Se Juda Na Ho,

Na Kr Tu Merey Jism K Zakhmon Ka Yun Hisab,
Ye Dekh Terey Hath Main Pathar Bacha Na Ho,

Apno Se B Milon To Ye Khof Sa Rahey,
Chehrey K Peechey Or Koi Chehra Chupa Na Ho



safar main sham utarne tak to mere sath rah jao





safar main sham utarne tak to mere sath rah jao
nae manzar ubhrne tak to mare sath rah jao

laho roti hue aankhain tere qadmon se lipti hain

mere aanso thahrne tak to mare sath rah jao

tumhain maloom he mujh ko khizan se khof aata he

so ye mosam guzarne tak to mare sath rah jao

phir us k baad jab chaho jahan chaho chale jana

meri sansain bikhrne tak to mere sath reh jao



Haalat K Panjon Mein Giriftaar MusalsaL




Haalat K Panjon Mein Giriftaar MusalsaL,
Jee Apna Raha Khud Se Bhi Bezaar MusalsaL.

Is Sheher Mein Jub Jub Bhi Koi Jurm Huwa Hai,
Hm Log Hi Thehry Hain Saza Waar MusalsaL.

Jesy Meri Aankhein Hain Roi Hijar Mein Tere,
yuon Roye Na Koi Bhi Mere Yar MusalsaL.

Izhar Mein Hum Ne To Koi Farq Na Chorra,
us Taraf Se Hota Raha Inkaar MusalsaL.

Aey Umar Bata Phir Bhi Tujhe Kesy Guzara?
Khadshaat Se Rehtay Huway Do Chaar MusalsaL



kabhi nazrin churane main pal bhar bhi nahi lagta



kabhi nazrin churane main pal bhar bhi nahi lagta 
kabhi nazrin milane main zamane beet jate hain

kisi ne aankh bhi kholi to sone ki nagri main 
kisi ko ghar banane main zamane beet jate hain

kabhi kali sayah ratain hamain ik pal ki lagti hain
kabhi ik pal bitane main zamane beet jate hain

kabhi kholey darwaza khari thi samne manzil
kabhi manzil ko pane main zamne beet jate hain

ik pal main tot jate hain umar bhar k wo rishte
k jin rishton ko pane main zamane beet jate hain

Tuje yad karte hain her sans k bad



Tuje yad karte hain her sans k bad, 
kabi suba se pehle kabi sham k bad.

Kabi milo to kuch karein batein, 
ik jam se pehle ik jam k bad.

Dil ki dewaron pe tera nam likhte hain,
kabi fursat mein kabi kam k bad.

Mere marne k bad b log tuje pukarein ge,
kabi mere nam se pehle kabi mere nam k bad

Udas dil ki udas batain


Udas dil ki udas batain...
smajhny wala koi to hota....

K jiski baton se dil smbhlta
k jiski sangat me dil behlta
Jiski halki si ek jhalak bhi
hmary dukh ko smait deti
Falak se khushyan undail deti

ya uski nazuk si muskraht
Hmary din ki sabhi thakawt
ko dur krti
ya phir chamkti wo aankhain uski
Hmari hasti ka raaz hotien, 
hmary dukh ki kitab hota!
Jo hmko chahta, 
hamko prhta, 
guzrty lamhon ki sakhtiyon me!

Koi to nazuk mizaj hota.
Koi to hota.

waqt hai kam or arzu pareshaa hai...


waqt hai kam or arzu pareshaa hai...
Naseh kO bitha dO k ye umr-e-natawa hai...

sard sard lehjay me apnaiyat ki garmi...
ye muhabbat hai uski ya andaz-e-baya hai...

hath tham k kehti hai udasi mujhkO...
jab me hOOn tere sath tu kyu aah-O-faghaa hai...

Chirya b legai hai ura k apnay bachay...
akaila hOOn me r khali ye makaa hai...

PhOOnk k rakh raha tha apne dabeez paO...
PankhriyO se b usay sakhti ka guma hai...

Chaak kerna he parega tujhe garebaa ae dOst..
k raaz-e-ulfat tu mere seenay k darmayaa hai...

Aiman pe aiman he asli aiman hai...
jisaay aiman pe aimaa nehe wO he be-imaa hai..

"ik aag ka darya hai r dOOb k jana hai...
Rakht-e-safar bandh lO ALLAH nigehbaa hai...

Her safa-e-zeest pe kaha perhnay walO ne...
Basta waqas me aik r insaa hai...

Khawab posh aankhon me,


Khawab posh aankhon me,
Aansuon ka bhr jana,
Hasraton k sahil per,
Titliyon ka marr jana,

Habs ki hawaon me,
Khushbuon ka darr jana,

Dil k garm sehra me,
Hashar hi barpa hona,

Dard la-dawa hona,
Kya bohat zruri tha,

youn tera "Juda" hona.
Kya bohat zruri tha...!!

saza pe chor diya jaza pe chor diya


saza pe chor diya jaza pe chor diya
har ik kaam ko ham ne khuda pe chor diya

wo ham ko yaad rakhta ya phir bhola data 
usi ka kaam tha osi ki raza pe chor diya

ab os ki marzi bojha de ya jala rahne de
charaagh ko jala k ham ne hawa pe chor diya

ham us se baat bhi karte to kis tarah karte
ya maamla ana ka tha ana pe chor diya

isi liy to wo kahte hain bewfa ham ko
ham ne sara zamana wafa pe chor diya