Thursday, 16 August 2012

Teri Aankhein Tera Chehra jo mere robaroo nahee rehtay!!



Teri Aankhein Tera Chehra jo mere robaroo nahee rehtay!! 



Suno janaan tum meri aankhon ko 
apnay lams sai zinda kar do
ik baar phir in k aaninon mein 
apna chehra kar do

k ik mudat hui ye saktay mein hein ,
in ka dukh nahee rota 
in mein kisi khuwab ka hadisa ab nahee hota
k ye khuwab meri aankhon sai 
..................................ab surkhuroo nahee rehtay

Teri Aankhein Tera Chehra  jo mere roobaroo nahee rehtay..!!



zabt ki shaakh sai toot girtay hein jab ye aansoo
dundhla kar dikhatay hein har nazaray ko
tere aansoo chootay hein 
jab meri aankh k kinaray ko
lahoo ban jatay hein ye ansoo
.................... ansoo nahee rehtay
Teri Aankhein Tera Chehra jo mere roobaroo nahee rehtay..!!

duaon k hathon mein 
kabooliat ki zanjeer nahee parhti
aansoo bikhar jatay hein 
par jazbon mein taseer nahee utarti
sisaktay hein mere labon pai aa k harf e duua
bai maani ho jatay hein ye alfaaz
........................ mehv e justajoo nahee rehtay
Teri Aankhein Tera Chehra jo mere roobaroo nahee rehtay..!!




raah e zeest mein bikhri chaar soo 
ye tere hijar ki gird janaan
jaisay kisi ajnabi deewar sai 
lipti ho koi amar bail
aisay hi meri zaat sai liptay hein ye dard janaan
likh dia jo kaatib nay 
to phir mein ye kaisay keh doon
dukh dard ko meri zaat ki talab nahee
...................... ye mehv e aarzoo nahee rehtay
Teri Aankhein Tera Chehra jo mere roobaroo nahee rehtay..!!


tu jo bichra hay to raat k seenay pai 
sar rakh kar so nahee sakti
tujh ko kho kar sab kho dia
ab to kuch bhi kho nahee sakti
ik tera hath chootnay sai 
faqat tera sath chootnay sai
khuwab k jugnoo ab meri aankh sai
................... mehv e guftagoo nahee rehtay

Teri Aankhein Tera Chehra jo mere roobaroo nahee rehtay..!!

hum jo chaand ki kirnon sai 
tera aks buna kartay thay
teri aankhon sai aksar sitaray chuna kartay thay
teri saanson ki hidat sai 
jala kartay thay zeest k jugnoo
suno ab to ye kaafilay roshni k 
,,,,,,,,,,,,,,,,mere chaar soo nahee rehtay
Teri Aankhein Tera Chehra jo mere roobaroo nahee rehtay..!!

suno khizan rut yoon jazbon mein thehar gayee hay
hairat kia hay jo baat meri bikhar gayee hay 
titlion k rang utartay nahee lab o lehjay mein
orhtay nahee jo lams tera mere alfaaz 
................................sarapae khushboo nahee rehtay
Teri Aankhein Tera Chehra jo mere roobaroo nahee rehtay!!!!




No comments:

Post a Comment