Monday 6 August 2012

Ik din shararatan us k kamre ...nazam




Ik din shararatan us k kamre min ja kar.


Diwar pe likhe kuch haruf parhna chahe.


Ja baja hath se bani taswiron ko samjhna chaha.


Kahin sukhe gulab ki patiyan thin.


Kahin takiya ansuon se nam tha.



Phir kitabon se, aisi kitab mere hath lagi.


Jis k safha-e-awal pe mera nam tha.


Kuch lafz chape the, mera hath laraz utha.


Chehra pasine se tar tha.


Meri sada mere kanon min goonjne lagi.


Mujhe khabar bhi nhi.


K wo khamosh sa shakhs.


Mujhe is qadar chahta tha





No comments:

Post a Comment