Sunday 12 August 2012

tum aao to ham bhi eid karing....


EID

Hasrat hai tumhari deed karein
Tum aao to hum bhi Eid karein!!!
Kuch dair to dil ko chain mille
Kuch roz to mann ka phool khile
Kehte hain Eid ki aamad hai
Ab log bhi kuch taeed karein
Tum aao to hum bhi Eid karein!!!
Tum se yeh aik guzarish hai
Yeh apne dil ki khwahish hai
Aik baar milo,aik baar milo
Har baar yahi takeed karein

Tum aao to hum bhi Eid karein!!!
Jab gham ke baadal chaaye they
Uss waqt bhi tum na aaye they
Iss baar bhi tum nahi aaye ho
Sab dushman yeh tanfeed karein
Tum aao to hum bhi Eid karein!!!
Maana ke hum deewane hain
Sab baaton se anjaane hain
Jab apne hi begaane hain
Kya ghairon se umeed karein
Tum aao to hum bhi Eid karein




No comments:

Post a Comment