Saturday, 30 June 2012

aankhen bheeg jati hain....shairy

Sumandar main utarta tu aankhen bheeg jati hain
Teri aankhon ko parhta hoon tu aankhen bheeg jati hain




Tumhara naam likhne ki ijazat chin gai jab se
Koi bhi lafz likhta hoon tu aankhen bheeg jati hain

Friday, 29 June 2012

mein gham K ghar mein qaid hon be'ghar nahi hon mein shairy


mein gham K ghar mein qaid hon be'ghar nahi hon mein
thokar Na yon laga Mujhe patthar nahi hon mein


khush ho K dekh'te ho Q meri tabahi ko
koi suhani shaam ka Manzar nahi hon mein


hai tazqara dukhon ka mere saare shehar mein
afsos ek teri zuban par hi nahi hon mein...

shairy:Aitbar-E-waqt Py be-ikhtiyar H0 k R0 Paray






Aitbar-E-waqt Py be-ikhtiyar H0 k R0 Paray,
kho kar kbhi Usay T0 kabhi Pa k R0 Parey,


khushyan Hamarey Pass kahaan Mustaqil Rahein,
bahir kabhi Hansey to ghar Aa k ro parey,

shairy.Gham-e-zindgi ne la kr...


Gham-e-zindgi ne la kr hamen us jaga pr mara"
Jahan is traf kinara hai na us taraf kinara"


Yahan kis ko itni fursat jo hamara haal pochy"
Yeh mizaj hai sbhi ka nhi zikar bas tmhara"

shairy:kisi ne dil ko toorr diya he




kisi ne dil ko toorr diya he 
tanha kar k chorr diya he


shakh pe nazuk phool khila he
teiz hawa ne torr diya he


meri janib aate aate
kis ne tojh ko morr diya he

shairy:ae gham e jana buhat dil geer hon main


ae gham e jana buhat dil geer hon main
ik adhore khawab ki ta'abeer hon main


kal talak pore the khadd o khaal mere
aaj be chehra si ik tasweer hon main

shairy:khushiyon k chaar pal hi sada dhondta raha


khushiyon k chaar pal hi sada dhondta raha
kiya dhondna tha mujh ko main kiya dhondta raha


mayoseon k shahar mein mujh sa ghareeb shakhs
lene ko sans thori hawa dhondta raha

poetry:Ajeeb qarb Mein Guzri Jahaan Jahaan Guzri,,




Ajeeb qarb Mein Guzri Jahaan Jahaan Guzri,,
Agarchay Chahnay Waalon K Dermiyaan Guzri..


Tamaam Umr Jalaatay Rahay Charaagh-E-Umeed,,
Tamaam Umr Umeedon K Darmiyaan Guzri..

Monday, 25 June 2012

poetry:sahil udaas tha k muqaddar udaas tha


sahil udaas tha k muqaddar udaas tha
lagta tha jase sara manzar udaas tha


looti falak se too barri dilgeer thi dua
ik khwab totne par muqaddar udaas tha

poetry:tu kisi aur ki jageer hai aaey jaan-e-Ghazal






tu kisi aur ki jageer hai aaey jaan-e-Ghazal
log toofan uTha daN gaiN mere saath na chal


pehla huq tha teri chahat ke chaman par mera
pehla huq tha teri Khushboo-e-badan par mera
abb mera pyar tere pyar ka huq_daar nahi
maiN tere gaisoo-o-ruKhsaar ka huq_daar nahi
abb kisi aur ke shanooN par hai tera aanchal




log tufaan utha ..............

shairy:Dard ke phool bhi khilte hain bikhar jate hain


Dard ke phool bhi khilte hain bikhar jate hain
Zakhm kaise bhi hon kuch roz mein bhar jate hain


Us dareeche mein bhi ab koi nahi aur hum bhi
sir jhukaye hue chup chaap guzar jate hain

shairy:Hr ghari Dard ki shiddat se Sisakti Aankhen


Hr ghari Dard ki shiddat se Sisakti Aankhen
Or oper se tere wasl k khawabon k Azab


Roz Aangn mai kharY pair se girtY pattY
or Sar_e_Shaam prindon pe guzarti Aaft

poetry:Bikne se to shayad mujhe inkar nahin tha.




Bikne se to shayad mujhe inkar nahin tha.
Ye bat alag k koi kharidar nahin tha.


Samjhata usay farq main, kia zulm-o-wafa mein.
Jub us ki nazar mein koi maa'yar nahin tha.

shairy:Aao kisi shab mujhe toot k bikhrta dekho



Aao kisi shab mujhe toot k bikhrta dekho
meri ragon main dard judai ka utarta dekho

kid kid ada se tujhe manga he rabb se
aao kabhi mujhe sajdon main sisakta dekho

poetry: kahian sehra kahain sokhe shajar ache nahi lagte




kahian sehra kahain sokhe shajar ache nahi lagte
mujhe ab khwab zaron k safar ache nahi lagte


jawabi khat main yon us ne mere bare main likha he
bura bhi keh nahi sakte magar ache nahi lagte

Wednesday, 20 June 2012

Apni ankhon k sabhi ashk baha kr sona...shairy


Apni ankhon k sabhi ashk baha kr sona
Tum meri yaad ka hr deep bujha kr sona


Ek sitara bhi mere khiyal ka baqi na rahey
Chandni shabb k nishanaat mita kr sona

Saturday, 16 June 2012


ham dasht k basi hain ae shahr k logo 
ye rooh piyasi hamain wirse main mili he


dukh dard se sadion ka ta'aloq he hamara
aankhon ki udasi hamin wirse main mili he

Roog aese bhi gham e yaar se lag jate hain






Roog aese bhi gham e yaar se lag jate hain 
dar se uthte hain to dewaar se lag jate hain


be basi bhi kabhi qurbat ka sabab bante he
ro na pain to gale yaar k lag jate hain


dagh daman k hon dil k hon ya chehre k fraaz
kuch nishaan umar ki raftaar se lag jate hain

Apne ihsaas k sab rang utar jane do


Apne ihsaas k sab rang utar jane do
meri umeed mere khwab bikhar jane do


apne aangan main charoghon ko jalao na abhi
mere aangan main sayah raat utar jane do




chaman se kon chala ye khamoshain le kar
kali kali tarap uthi he siskiyan le kar


kafan mera na hatao zamana dekh na le
main soo gaya hoon kisi ki nishaniyan le kar

jo bichar gaya use bhool ja


yehi zindgi ka usool he
jo bichar gaya use bhool ja




jo mila he dil se laga k rakh 
jo nahi mila use bhool ja

Tum zmana aashna tumse zmana aashna,


Tum zmana aashna tumse zmana aashna,
or ham apny liye b ajnabi na-aashna,


rasty bhr ki rfaqt bhi boht hy janeman,
wrna manzil pr ponhch kr kon kis ka aashna,


ab k aisy aandhyan uthee'n k suraj bujh gaye,
hi wo shama'en k jhonkon se b thi na-aashna,

lafaz totay lab e izhaar tak aate aate


lafaz totay lab e izhaar tak aate aate
mar gae ham tere meyaar tak aate aate


ham samjhte the k kuch waqat lage ga shayad
aik inkaar ko iqraar tak aate aate

Bhulany se jo bhuly na wo kahani chor ja0ngA




Bhulany se jo bhuly na wo kahani chor ja0ngA
Zamany me teri Ankh0n me paani chor ja0ngA


Lipat kar dair tuk dar-0-diwar se log royengE
Me aisi sog me lipti jawani chor ja0ngA.

Rodad e qafas yad na andaz e fogan yaad


Rodad_e_qafas yad na andaz_e_fogan yaad
jo beet gai beet gai ab wo kahan yaad


tom ham ko bhola bathe to kaya is main taajobb
is door main rakhta ha kise kon kahan yaad

Bohat tutey hue hain hum




Bohat tutey hue hain hum
Abi dastak nahi dena


Hamari ankh hai purnam
abi dastak nahi dena

Friday, 15 June 2012

Itna b apni Zaat Se Koi Juda Na Ho


Itna b apni Zaat Se Koi Juda Na Ho
Nikley kisi ki Talash Main Apna Pata Na Ho,


Dekho K Phir Hawaon K Tewar Badal Gaye,
Sahil Ki Rait Par Koi Kuch Likh Raha Na Ho,

safar main sham utarne tak to mere sath rah jao ....


safar main sham utarne tak to mere sath rah jao
nae manzar ubhrne tak to mare sath rah jao


laho roti hue aankhain tere qadmon se lipti hain
mere aanso thahrne tak to mare sath rah jao

Haalat K Panjon Mein Giriftaar MusalsaL




Haalat K Panjon Mein Giriftaar MusalsaL,
Jee Apna Raha Khud Se Bhi Bezaar MusalsaL.


Is Sheher Mein Jub Jub Bhi Koi Jurm Huwa Hai,
Hm Log Hi Thehry Hain Saza Waar MusalsaL.

kabhi nazrin churane main pal bhar bhi nahi lagta




kabhi nazrin churane main pal bhar bhi nahi lagta 
kabhi nazrin milane main zamane beet jate hain


kisi ne aankh bhi kholi to sone ki nagri main 
kisi ko ghar banane main zamane beet jate hain

kabi mere nam se pehle kabi mere nam k bad




Tuje yad karte hain her sans k bad, 
kabi suba se pehle kabi sham k bad.


Kabi milo to kuch karein batein, 
ik jam se pehle ik jam k bad.

Udas dil ki udas batain...


Udas dil ki udas batain...
smajhny wala koi to hota....


K jiski baton se dil smbhlta
k jiski sangat me dil behlta
Jiski halki si ek jhalak bhi
hmary dukh ko smait deti
Falak se khushyan undail deti

waqt hai kam r arzu pareshaa hai...


waqt hai kam r arzu pareshaa hai...
Naseh kO bitha dO k ye umr-e-natawa hai...


sard sard lehjay me apnaiyat ki garmi...
ye muhabbat hai uski ya andaz-e-bayan hai...


hath tham k kehti hai udasi mujhkO...
jab me hOOn tere sath tu kyu aah-O-faghaa hai...


Chirya b legai hai ura k apnay bachay...
akaila hOOn me r khali ye makaa hai...

saza pe chor diya jaza pe chor diya


saza pe chor diya jaza pe chor diya
har ik kaam ko ham ne khuda pe chor diya


wo ham ko yaad rakhta ya phir bhola data 
usi ka kaam tha osi ki raza pe chor diya


ab os ki marzi bojha de ya jala rahne de
charaagh ko jala k ham ne hawa pe chor diya


ham us se baat bhi karte to kis tarah karte
ya maamla ana ka tha ana pe chor diya


isi liy to wo kahte hain bewfa ham ko
ham ne sara zamana wafa pe chor diya

wo jazboon ki tijaarat thi ya dil koch or samjha tha


wo jazboon ki tijaarat thi ya dil koch or samjha tha
use hansny ki aadat thi ya dil koch or samjha tha


moghe os ne kaha aao nae donya basyte hain
ose sojhi sharaarat thi ya dil koch or samjha tha


hamysha os ki aankhon main dhank se rang hooty thy
ya os ki aam haalat thi ya dil koch or samjha tha


mary kaandhe pe sar rakh k kahyn py khoo gaya tha wo
ya ik waqte inayat thi ya dil koch or samjha tha

Tuesday, 12 June 2012

Wo mujhe Mehndi Lage Hath Dikha Kar Royi.

Wo mujhe Mehndi Lage Hath Dikha Kar Royi..!!

Main kisi or ka hun itna bara kar royi,wo mujhe mehndi lage hath dikha kar royi..
Umer bhar ki judai ka khayal aya tha shayad,woh mujhe pass apne dair tak bitha kar royi..
Aab k na sahi zaroor hashar main milain ge,yakja honey k dilase dila kar royi...
Mujh se zayda bicharne ka ghum usey tha,waqt-e-rukshat wo mujhe seenay se laga kar royi...
Main be-kasoor hun,qudrat ka faisla hai yeh,lipat k mujh se bus wo itna baata kar royi...
Mujh pe ik kurab ka toofan ho gya hai,jab mere samne mere khat jala kar royi...
Meri nafrat or adawat pighal gayi ik pal main,wo be-wafa hai to kyun mujhe rula kar royi...
Sab shikwe meray ik pal main badal gaye,jheel si ankhon main jab ansu saja kar royi...

mohabbat hey mujhe tum sy bas itna janta hon main.


mohabbat hey mujhe tum sy bas itna janta hon main.
ye kiya hey kion he kase he .


bataon kis tarah tum ko .
chlo socho agar main tum sy ye pochon.

ye dil he mera jise main ne bare dao laga kar bech diya



ye dil he mera jise main ne bare dao laga kar bech diya
kabhi ik muskan k badle kabhi muft utha kar bech diya


jab bhok barhi ikk larki ne ieman sula kar sene mein
ismat ka haar utara or bazar mein ja kar bech diya


kion sehra se ya abar sada kooch dor raha naraz raha
is bar bhi is ne kion sawan basti mein le ja kar bech diya


ajii qeemat to bas zooq ki he ye keh kar ikk soda gar ne
chand rangon k pholon se guldan saja kar bech diya


shaiyr bhi kesi hasti he aaghaaz mein hamd o naat likhi
baqi mehboob k qisson se dewaan saja kar bech diya...


afsoos k yahan hakim ne sach ko likhne wale ka
qalam utha kar phonk diya kabhi hath kata kar bech diya




kisi hasrat k dafnane ko kafan mila na khak mili
kisi hasrat ko phir kutbu par ik roz likha kar bech diya


kiya dekhta hon yahan par mein kuch cheron ne in bazmon mein
mera naam hansi ke kochon mein awaaz laga kar bech diya..

Monday, 11 June 2012

Ho mubarik tujhe shadi ki pehli yeh raat


Ho mubarik tujhe shadi ki pehli yeh raat
dua karo k hum b bhool jain teri har baat
.
be panah hai tum se hum ko pyar
woh kehta tha yeh bar bar
ujarh gaya woh meri zindagi
woh krte krte yehi bat
.
dil nahin lgta ab kahin mera
be qabu ho gaye hain mere jazbaat
.
jb se gaye ho tum ab to din b lagte hain raat
tum ne chora mera hath
moun main hi reh gai meri har baat
kyun thama tha mera hath
jb chor ke chalay hi jana tha mera sath
.
jate jate woh bs itna hi keh gaya
shayd hamari qismat main hi nhe hamara sath
suno jaana dua kro k hum b bhool jain teri har baat
ja sanam mubarik ho tujhe teri shadi ki pehli yeh raat...........