kahian sehra kahain sokhe shajar ache nahi lagte
mujhe ab khwab zaron k safar ache nahi lagte
jawabi khat main yon us ne mere bare main likha he
bura bhi keh nahi sakte magar ache nahi lagte
nahi masrof main itna k ghar ka rasta bholon
koi jab muntazir na ho to ghar ache nahi lagte
samndar terti lashon se ye khta raha shab bhar
mujhe bhi dobne walo bhanwar ache nahi lagte
nahi aesa k ab parwaz ki taqat nahi baqi
meri umeed k panchi ko par ache nahi lagte
No comments:
Post a Comment