Monday, 25 June 2012

shairy:Dard ke phool bhi khilte hain bikhar jate hain


Dard ke phool bhi khilte hain bikhar jate hain
Zakhm kaise bhi hon kuch roz mein bhar jate hain


Us dareeche mein bhi ab koi nahi aur hum bhi
sir jhukaye hue chup chaap guzar jate hain



Raasta roke khari hai yahi uljhan kub se
Koi pooche tu kahein kya ke kidhar jate hai


Narm awaz bhali baatein muhazzab lehje
Pehli barish mein hi yeh rung utar jate hain


Dard ke phool bhi khilte hain bikhar jate hain
Zakhm kaise bhi hon kuch roz mein bhar jate hain

No comments:

Post a Comment