ye dil he mera jise main ne bare dao laga kar bech diya
kabhi ik muskan k badle kabhi muft utha kar bech diya
jab bhok barhi ikk larki ne ieman sula kar sene mein
ismat ka haar utara or bazar mein ja kar bech diya
kion sehra se ya abar sada kooch dor raha naraz raha
is bar bhi is ne kion sawan basti mein le ja kar bech diya
ajii qeemat to bas zooq ki he ye keh kar ikk soda gar ne
chand rangon k pholon se guldan saja kar bech diya
shaiyr bhi kesi hasti he aaghaaz mein hamd o naat likhi
baqi mehboob k qisson se dewaan saja kar bech diya...
afsoos k yahan hakim ne sach ko likhne wale ka
qalam utha kar phonk diya kabhi hath kata kar bech diya
kisi hasrat k dafnane ko kafan mila na khak mili
kisi hasrat ko phir kutbu par ik roz likha kar bech diya
kiya dekhta hon yahan par mein kuch cheron ne in bazmon mein
mera naam hansi ke kochon mein awaaz laga kar bech diya..
No comments:
Post a Comment