Saturday 16 June 2012

Apne ihsaas k sab rang utar jane do


Apne ihsaas k sab rang utar jane do
meri umeed mere khwab bikhar jane do


apne aangan main charoghon ko jalao na abhi
mere aangan main sayah raat utar jane do



bari mushkil se mila he mujhe mare ghar ka pata
rastoo ab na uljho mujhe ghar jane do


jin k aane ka bara shoor phela tha har soo
unhi lamhoon ko chup chaap guzar jane do


meri barbadion ka ilzaam na aae tum par
mere haalat ko kuch or bigar jane do

No comments:

Post a Comment