Friday 29 June 2012

shairy:khushiyon k chaar pal hi sada dhondta raha


khushiyon k chaar pal hi sada dhondta raha
kiya dhondna tha mujh ko main kiya dhondta raha


mayoseon k shahar mein mujh sa ghareeb shakhs
lene ko sans thori hawa dhondta raha



maloom tha k mari nahi he koi khata
phir bhi main wahan apni khata dhondta rha


maloom tha k mujh ko nahi mil sakain ge wo
phir bhi main sada un ka pata pochta raha


phir youn huwa k un se mulaqaat ho gai
phir umar bhar main apna pata dhondta raha

No comments:

Post a Comment