Monday 25 June 2012

poetry:tu kisi aur ki jageer hai aaey jaan-e-Ghazal






tu kisi aur ki jageer hai aaey jaan-e-Ghazal
log toofan uTha daN gaiN mere saath na chal


pehla huq tha teri chahat ke chaman par mera
pehla huq tha teri Khushboo-e-badan par mera
abb mera pyar tere pyar ka huq_daar nahi
maiN tere gaisoo-o-ruKhsaar ka huq_daar nahi
abb kisi aur ke shanooN par hai tera aanchal




log tufaan utha ..............





maiN tere pyar se ghar apna basaaooN kaisey
maiN teri maang sitarooN se sajaooN kaisey
meri qismat maiN nahi pyar ki Khushboo shayad
mere hathooN ki lakeerooN maiN nahi tu shayad
apni taqdeer bana mera muqaddar na badal




log tufaan ohta ............


mujh se kehteeN haiN yeh Khamosh nigahaiN teri
meri parvaaz se ooncheeN haiN panaahaiN teri
aur Ghairat-e-ehsaas pay sharminda hooN
abb kisi aur ki bahooN maiN haiN baahaiN teri
aab kahaN mera Thikana hai, kahan tera mehal


log tufaan ohta ............dain ge to zidd na kar

No comments:

Post a Comment